Wednesday 12 October 2011

Aisa lagta hai - REFUGEE

Song Name : Aisa lagta hai
Singer (s) : Alka Yagnik, Sonu Nigam
Music Director : Anu Malik
Lyrics : Javed Akhtar
Movie : REFUGEE
Refugee Album Cover
Year : 2000
Director : J P Dutta
Leading Cast : Abhishek Bachchan, Kareena Kapoor, Jackie Shroff, Sunil Shetty
Label : Saregama


Ho aisa lagta hai jo na hua hone ko hai
Aisa lagta hai ab dil mera khone ko hai
Varna dil kyon dhadakta 
Saansein kyon rukti
Mere neendein kyon ud jaati


Aisa lagta hai jo na hua hone ko hai
Aisa lagta hai ab dil mera khone ko hai
Varna dil kyon dhadakta 
Saansein kyon rukti
Mere neendein kyon ud jaati


Ho aisa lagta hai jo na hua hone ko hai


Koi chehra nigaahon pe chhaane laga
Koi ab roz aankhon mein aane laga
Aayi rut jo nayi jaage armaan kai
Mausam koi ghazal jaise gaane laga
Oh aisa lagta hai jaise nasha hone ko hai
Aisa lagta hai hosh mera khone ko hai
Varna dil kyon dhadakta 
Saansein kyon rukti
Mere neendein kyon ud jaati



Ho aisa lagta hai jo na hua hone ko hai


Mehki mehki fiza ne li angdaaiyaan
Neeli neeli hai baadal ki parchhaaiyaan
Thandi thandi hava laayi raag naye
Goonji goonji si hai jaise shehnaaiyaan
Ho aisa lagta hai koi mera hone ko hai
Aisa lagta hai har faasla khone ko hai
Varna dil kyon dhadakta 
Saansein kyon rukti
Mere neendein kyon ud jaati


Ho aisa lagta hai jo na hua hone ko hai
Aisa lagta hai ab dil mera khone ko hai
Varna dil kyon dhadakta 
Saansein kyon rukti
Mere neendein kyon ud jaati.

0 comments:

Post a Comment

Twitter Delicious Facebook Digg Stumbleupon Favorites More